Saturday, 6 September 2014

Sapne, Sapne He Reh Gy (Sad Urdu Poetry)

Jin ko panay kay kabi sapne dekhy they
Wo  sapne,  sapne   he   reh   gy

Zindagi kay shabo-roz nay aisa uljay rakha
kay fursat main be ulajtey reh gy

Kia kia khawab Aankhon main sujay they
Wo sub khawab k khawab he reh gy

Zindagi ab kaisey guzrey gi apni
Jab dil main sirf dard reh gy 

Hamin to ab aadat hai zakhim khaney ki
Sari umer dard chupatte he reh gy 

Aaj shaamin itni khamoosh kion hain 
shayed jis pal ka intezar tha, wo pal pal he reh gy

Kia gila kron main ab kisi sai 
Jab apne he apne na reh gy 

Aey sham to ab na saja, sanwara kr
Jin ka intezaar tha wo kisi aor k ho kar reh gy  

0 comments:

Post a Comment